Topic History
Viewing 250 topic changes
#pakistan
March 20, 2026
2 days, 4 hours ago
Welcome to 🇵🇰 | Eid Mubarak 🌙 — may it be a day of peace and blessings.| Imagine a cup of chai with anyone from history — who would you choose?
March 16, 2026
5 days, 6 hours ago
Welcome to 🇵🇰 | Imagine a cup of chai with anyone from history — who would you choose?
March 16, 2026
5 days, 18 hours ago
" Kitni Wehshat Hai Khud Kalami Mein <> Koi Dushman Ho, Ruburu Jaisay " - BaBaJee -
March 12, 2026
1 week, 2 days ago
" Parday Uthana Band Karain! Koi Haq Nai Banta Humara Kisi Kay Parday Uthanay Ka ... Acha Nai Kar Saktay Toh Bura Na Karo ... Parday Na Uthao Kiyonkeh Parday Sab Kay Hotay Hein, Raaz Sab Kay Hotay Hein Aur Jis Din RAB Nay Aap Kay Raaz Say Parda Utha Diya Toh Phir Kiya Karain Gaye? " - BaBaJee -
March 8, 2026
1 week, 6 days ago
" Rizq Sakhawat Mein Posheeda Hai! Log Isko Mehnat Mein Talaash Kartay Hein " - BaBaJee -
February 25, 2026
3 weeks, 3 days ago
Between the eternal stillness of Hunza Valley and the ceaseless striving of Karachi — where do you truly find the soul of Pakistan?
February 23, 2026
3 weeks, 5 days ago
February highlights some key national observances — Kashmir Solidarity Day (5th), National Women's Day (12th), Pakistan Day (23rd) and Surprise Day (27th). Welcome to #Pakistan
February 22, 2026
3 weeks, 6 days ago
Hum Ba-Sad Naaz Dil Mein Basaye Bhi Gaye,Phir Ganwaye Bhi Gaye Aor Bhulaye Bhi Gaye...Hum Tera Naaz Thay Phir Teri Khushi Ki Khatir,Kar K Bechara Teray Samnay Laaye Bhi Gaye..Hum Say Rootha Bhi Gaya Hum Ko Manaya Bhi Gaya,Phir Sabhi Naqsh Talluq K Mitaye Bhi Gaye...Welcome to #pakistan
February 16, 2026
1 month ago
ek ek kar kay gaey saath nibhanay waalay...dil nay har waada sar-e-dast bikhartay dekha....
February 14, 2026
1 month, 1 week ago
" Jama Main Kar Nehi Sakta <> Manfi Mujh Say Hota Nehi <> Ussay Taqseem Karoon Toh Kiyon <> Dil Pay Zarab Si Lagti Hai - BaBaJee - "
February 13, 2026
1 month, 1 week ago
" Muskuranay Say Bhi Sawaab Milta Hai, Yeh Hai Khoobsurti Humaray Mazhab Islam Ki - BaBaJee - "
February 3, 2026
1 month, 2 weeks ago
kal raat shab-e-barat thi bat`ti thi zindagi,shab bhar main bus Khuda say tujhay maangta raha.....
February 2, 2026
1 month, 2 weeks ago
Sookhay hont,sulagti aankhin,sarsoon jesa rang.barson baad vo dekh k mujh ko reh jaey ga dang.dil ko tou pehlay hi dard ki deemak chaat gai thi,rooh ko bhi ab khata jaey tanhai ka zang,unhi k sadqay Yaa Rab meri mushkil kar asaan,meray jaisay aur bhi hain jo dil k haathon tang.
January 29, 2026
1 month, 3 weeks ago
dast e gham e hayyat mera hosla tou dekh......main dhoondnay chala hoon tera doosra sira welcome to #Pakistan.. enjoy your stay
January 18, 2026
2 months ago
kiya tha jo ghari bhar ko tum lot k aa jaatay,beemar-e-mohabbat ko soorat tou dikha jatay.itna tou karam kartay dukh dard mujhe day kar,ek baar meray aansoo daaman say sukha jaatay.phir dard-e-judai ko mehsoos na main karta,accha tha agar mujhko diwana bana jatay..
January 15, 2026
2 months ago
yaktarfa mohabbat na sambhaali gai mujh say,phir ek din menay usko dil ki baat bata di..pattoon ki tarah bakhera tha zamanay nay mujhay,us shakhs nay baray piyar say samaita aur aag laga di....
January 13, 2026
2 months, 1 week ago
Honton pay saahilon ki tarah tishnagi rahi,main chup howa tou meri ana cheekhti rahi,ek naam kia likha tera saahil ki rait per,phir umar bhar hawa say meri dushmani rahi,sarkon pay sard raat rahi meri hamsafar,aankhon main meray saath thakan jaagti rahi...
January 6, 2026
2 months, 2 weeks ago
" Hum Nay Jab Aap Ki Daikheen Dilchaspiyaan <> Aagaieen Chand Hum Mein Bhi Tabdeeliyaan <> Ek Musawwir Say Bhi Ho Gai Dosti <> Aur Ghazlain Bhi Sunnay Sunanay Lagay <> Pehlay Mashoor Thi Apni Sanjeedgi <> Ab Toh Jab Daikhiye Muskuranay Lagay - BaBaJee - "
January 5, 2026
2 months, 2 weeks ago
Jahan Sawaal Kay Badlay Sawaal Hota Hai, Wahan Say Muhabbaton Ka Zawaal Hota Hai <> Kisi Ko Apna Banana Hunar Hi Sehi, Kisi Ka Ban Kay Rehna Kamaal Hota Hai - BaBaJee -
January 2, 2026
2 months, 2 weeks ago
Picchlay baras tha khof tujhay kho na doon kahin...Ab k baras dua hay tera samna nah ho... Saal-e-No Mubbarak
December 31, 2025
2 months, 3 weeks ago
" 🕊️ ✨ Goodbye 2025 | Hello 2026 ✨ Happy New Year To All 🕊️ | A Brand New Year With Fresh Hopes, New Dreams & New Goals May This Year Bring Peace, Respect, Friendship & Endless Smiles. Stay Connected — Stay Positive — Stay Together. From #Pakistan Admin Team "
December 30, 2025
2 months, 3 weeks ago
" Aye Meray ALLAH Meri Izzat Kay Liye Yehi Kafi Hai kay Main Tera Banda Hoon, Aur Meray Fakhar Kay Liye Yehi Kafi Hai Kay "Tu" Mera Parwardeegaar Hai, "Tu" Waisa Hi Hai Jaisa Main Chahta Hoon, Bas "Tu" Mujh Ko Waisa Bana Day Jaisa Tu Chahta Hai. Aameen "
December 29, 2025
2 months, 3 weeks ago
" Insaan Kisi Bhi Sheh Ki Qadar Zindagi Mein Sirf Do Baar Hi Karta Hai ... 1: Usko Panay Say Pehlay... 2: Usko Kho daynay Kay Baad - BaBaJee - "
December 28, 2025
2 months, 3 weeks ago
" Ilm Teh Karta Hai Kiya Kehna Hai, Maharat Teh Karti Hai Kaisay Kehna Hai, Tarz E Ammal Teh Karta Hai Kis Qadar Kehna Hai, Aur Danishmandi Teh Karti Hai Keh Kehna Bhi Hai Ya Nehi "
December 25, 2025
2 months, 3 weeks ago
Happy Birthday Quaid-e-Azam! “Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah was not just the founder of Pakistan, but a symbol of vision and integrity. His principles of Unity, Faith, and Discipline continue to guide us toward a stronger and more prosperous Pakistan
December 24, 2025
2 months, 3 weeks ago
Happy Birthday Dr3aMzS! Wishing you a year filled with happiness, good health, success, and unforgettable moments. May all your dreams come true and may every new day bring you closer to your goals. Stay blessed, keep smiling, and always be the wonderful person you are.
December 16, 2025
3 months ago
dhundali yaadon ki sard raaton main,beeti baaton ko sochtay rehna,chaey k mug ko lay k haathon main,chaand taaron ko khojtay rehna,apni aankon se apnay khawabon ko,lambi raaton main nochtay rehna,SHOQ dilchasp hain December k,ROG dilchasp hain December k
December 14, 2025
3 months, 1 week ago
Man Pasand Shakhs Mein Kalwanji Jaise Khassiyat Hoti Hai, Yani Mout Kay Ilawa Har Marz Ki Shifaa Hota Hai - BaBaJee -
December 5, 2025
3 months, 2 weeks ago
vo awaara sahi,titlion main rehta hay,keh mera dil muhtion main rehta hay,alao ban kar December ki sard raaton main,tera khiyal meray taaqchon main rehta hay.
November 26, 2025
3 months, 3 weeks ago
Hum nay bhi apnay Bakht per parh li hay faatiha..Aey Eshq tu bhi ja kar jahanam raseed ho... Welcome to #Pakistan. enjoy your stay...
November 21, 2025
4 months ago
Welcome to #Pakistan — Where Respect Unites Us and Friendship Builds Our Nation. Spread kindness, share knowledge, and be the reason someone smiles today.
November 19, 2025
4 months ago
Welcome to #Pakistan — your nonstop corner of fun, laughter, and irresistible.
November 19, 2025
4 months ago
"Wishing you a very Happy Birthday bonga. May your day be filled with joy and success."
November 11, 2025
4 months, 1 week ago
Welcome to #Pakistan — your nonstop corner of fun, laughter, and irresistible chat.
October 23, 2025
4 months, 3 weeks ago
The Pakistan Channel has launched its very own AI Bot Ansoo! 💫 Now anyone can chat with Ansoo Bot just type “Ansoo” and start talking! From science and history to politics, Islam, or finance Ansoo instantly answers in any language you choose, keeping you informed and never bored!
October 20, 2025
5 months ago
The Pakistan channel has made such a remarkable mark in Dalnet’s history that it will be remembered in golden words. Our official bot Ansoo will amaze you — as if you’re talking to a real human. Just tag Ansoo’s nickname and watch the magic unfold!
October 20, 2025
5 months ago
Breaking news: Ansoo the bot can talk now! Mention it in chat and it will join the conversation.
October 18, 2025
5 months ago
Es saraab-e-zindagi main,aaey khaaliq-e-Kun Fayakoon........meri haqiqat hay yahi,Inna Lillah hay wa inna elayhi Rajay`oon
October 11, 2025
5 months, 1 week ago
" Zindagi Mein Parwah Karnay Walay Dhoondiye! Istemaal Karnay Walay Toh Aap Ko Khud Dhoond Layn Gaye - BaBajee - "
October 11, 2025
5 months, 1 week ago
Happy Birthday To You Revenge``! A truly amazing soul! May your life shine with joy, peace, and endless smiles. You deserve all the love, success, and blessings today and always. Keep shining beautifully you’re a rare gem in this world, truly unforgettable and admired! From #Pakistan Admin Team
July 17, 2025
8 months ago
Hum say bayzaar na ho,aj bhi hum jaison k,teray ehbaab ki fehhrist main naam aatay hain.waqt accha hay so kucch dair kinaara kar lay,hum buray log,buray waqt main kaam aatay hain...
July 16, 2025
8 months ago
" Agar Aap Driver Ko Janay Bina Train Mein Pursakoon Beth Kar Safar Kar Saktay Hein Toh Phir Apni Zindagi Mein Kiyon Pareeshaan Hotay Hein Jis Ko Allah Chala Raha Hai "
July 15, 2025
8 months ago
" Agar Tum Kisi Ko Dhoka Daynay Mein Kaamyaab Ho Jatay Ho, Yeh Na Samajhna! Woh Kitna Bewaqoof Hai: Balkeh Yeh Souchna! Keh Usko Tum Par Ayetibaar Kitna Tha - Hazrat Ali A.S - "
July 14, 2025
8 months, 1 week ago
The Prophet (P.B.U.H) said: The deeds most loved by Allah are those done regularly, even if they are small. [Sahih Bukhari] - English / Urdu Only.
July 11, 2025
8 months, 1 week ago
As per #Pakistan's rules, the only languages allowed over the mains of #Pakistan are Urdu and English. Enjoy your stay!
July 7, 2025
8 months, 2 weeks ago
aaj ka Karbala"GHAZA" hay aur aj ka yazeed Nittin Yahoo hay,Muslim mumaalik "KOOFI" hain aur Phalestine k saath kharay honay walay "HUSSAINI" hain chahay vo musalaman hoon yah nah hoon
July 5, 2025
8 months, 2 weeks ago
" Jo Aap Ki Burai Kartay Hein Unhain Karnay Dayn, KiyonKeh Burai Wohi Kartay Hein Jo Barabari Kar Nehi Saktay "
June 30, 2025
8 months, 3 weeks ago
jab chaand Moharram ka nikalata hay sar-e-shaam...Ek hook si uth`ti hay Qalb-e-Zameen say...New islamic year 1447..
June 27, 2025
8 months, 3 weeks ago
" Tum Apnay Ikhlaaq Aur Kirdaar Ko Itna Buland Karo Kay Doosray Mazahib Kay Log Daikh Kar Kahein Agar Ummat Aisee Hai Toh Nabi Kaisay Hon Gaye. "
June 27, 2025
8 months, 3 weeks ago
The best fast after Ramadan is in Allahs month Al-Muharram. [Sahih Muslim 1163]
June 24, 2025
8 months, 3 weeks ago
Our greatest glory is not in never falling, but in rising every time we fall. - Confucius
June 22, 2025
8 months, 3 weeks ago
badan ko kaat`ta hay dukh,malaal nochtay hain,yeh dard bhayriey hain aur khaal nochtay hain.azaab-e-hijr main aankhin ujar gai jin ki,vo baybasi say apnay apnay baal nochtay hain.yahan (IRC) k logon ki aadat hay koofion jesi,ridaaen chheentay hain aur chhaal nochtay hain..
June 17, 2025
9 months ago
dhal gai umar sabhi shoq hamaray lay kar..ab tum aaey ho meri jaan sitaaray lay kar.tum bhi chal do gay liey saath hamari khushian,aur jeay jaain gay hum rog tumharay lay kar..
June 11, 2025
9 months, 1 week ago
" Hasd Aik Zehar Hai! Jissay Insaan Khud Peeta Hai Aur Tawaqoh Doosray Kay Marnay Ki Karta Hai "
June 10, 2025
9 months, 1 week ago
Dear Rameez On This Day! Dance Like No 1's Watching, Sing Like No 1's Listening, Love Like You'll Never Get Hurt, And Live Like It's Heaven On Earth "HappyBirthday 2 U" May All Your Dreams, All Your Imaginations Come True With The Blink Of Your Eyes, Hope Your Birthday Is Awesome As You Are! From #Pakistan
June 6, 2025
9 months, 2 weeks ago
اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لَا إلَهَ إلَّا اللَّهُ وَاَللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ وَلِلَّهِ الْحَمْدُ
June 5, 2025
9 months, 2 weeks ago
The best supplication is the supplication on the Day of Arafah, and the best words that I and the prophets before me have said are La ilaha illa Allah, wahdahu la sharika lahla hul mulk wa lahul hamd wa huwa ala kulli shayin qadeer - Sahih Muslim
June 2, 2025
9 months, 2 weeks ago
dil say jaatay nahi,jo log chalay jatay hain,dilko yeh baat samajhnay main bohat dair lagi.zindagi hum teray kund zehan say shagird jinhain,kucch sawalat samajhnay main bohat dair lagi.vo acchanak say lakeeron say nikal kaisay giya?dekh kar haath,samajhnay main bohat dair lagi
May 27, 2025
9 months, 3 weeks ago
" Kisi Insaan Ki Khoobi Ko Pehchano Aur Ussay Biyaan Karo, Lekin Agar Kisi Ki Khami Mil Jaye Toh Yahan Tumhari Khoobi Ka Imtehaan Hai. " Hazrat Ali (A.S) "
May 25, 2025
9 months, 3 weeks ago
" Insaan Ki Fitrat Hai, Woh Kisi Bhi Cheez Ki Qadar Zindagi Mein Sirf Do Baar Karta Hai 1-: Milnay Say Pehlay 2-: Kho Daynay Kay Baad.- "
May 21, 2025
10 months ago
Wishing you a day filled with love, laughter, and the people who make life worth celebrating. Happy Birthday S_H_O ! May this year bring you closer to all your dreams.
May 20, 2025
10 months ago
Wishing you a happy birthday full of joy, smiles, and unforgettable moments Senorita ! May the year ahead be wonderful - From the Admin Team of #Pakistan
May 16, 2025
10 months ago
Reminder: We’re all Pakistanis in this Pakistan channel. Let’s keep the chat respectful and enjoyable. Avoid useless or inappropriate talk that harms our image — and Pakistan’s." | Hello Enemy! Accept failure, master triumph.
May 15, 2025
10 months, 1 week ago
Happy Birthday to our beloved future doctor midhat , May this year bring you endless happiness, love, and all the success your heart desires. You are truly a blessing to everyone around you , and we pray that your special day is filled with laughter, joy, and countless beautiful moments. Stay blessed
May 14, 2025
10 months, 1 week ago
" Agar Raasta Khoobsurat Hai Toh Maloom Karo Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khoobsurat Hai Toh Rastay Ki Parwah Na Karo "
May 13, 2025
10 months, 1 week ago
" Agar Koi Tum Say Naraaz Hai Aur Ussay Is Baat Ka Gharoor Hai Kay Tum Ussay Mana Lo Gaye Toh Uskay Gharoor Ko Tootnay Mat Dayna. " Hazrat Ali (A.S) "
May 10, 2025
10 months, 1 week ago
There is no Power on Earth that can undo Pakistan " - Quaid-E-Azam Mohammad Ali Jinnah " ( * PAKISTAN ZINDABAD * ) "
May 3, 2025
10 months, 2 weeks ago
jung thehri thi meri Gardish e taqdeer k saath,main qafas main bhi ulajhta raha zanjeer k saath.agar es khawab ki tabeer judai hay tou phir,hum tou mar jain gay es khawab ki tabeer k saath.rooh aabaad karo gay tou badan ujray ga,ek kharaabi bhi janam leti hay taameer k saath..
April 30, 2025
10 months, 3 weeks ago
tumhara youn mukar jana,acchanak youn badal jana,tou matlab mujhko khawabon main ishaaray theek miltay hain.hamain tou jo mila apna,wohi dasnay main maahir tha,najanay kaisay logon ko saharay theek miltay hain..
April 25, 2025
10 months, 3 weeks ago
Rakhiey zara sambhaal kar nishtar haroof kay,apna jigar tou ap k lehjay say cut giya.main hi garaaan tha apko? main hi tha naagwaar?? leejiey yeh sang-e-raah bhi rastay say hat giya..
April 23, 2025
10 months, 3 weeks ago
" Jab Insaan Apni Ghalatiyon Ka " Wakeel " Aur Doosron Ki Ghalatiyon Ka " Judge " Ban Jaye Toh Phir Faislay Nehi Hotay Faasilay Hotay Hein "
April 22, 2025
10 months, 3 weeks ago
dil ki basti main ujala nahi honay waala,meri raaton ka khasaara nahi honay waala.menay ulfat main munaafay ka nahi socha,mera nuqsaan ziada nahi honay wala.uss say kehna k mera saath nibhaey aa kar,mera yaadon say guzaara nahi honay waala..
April 17, 2025
11 months ago
kiya batain k mohabbat say sambhalay na gaey,aur duniya main kabhi khof k maaray na gaey.hum nay tou tum say mohabbat ki umeedain ki theen,tum nay bhi din wohi dikhlaey jo dekhay na gaey..
April 12, 2025
11 months, 1 week ago
bichhray tou qurbaton ki dua bhi na kar sakay,ab k tujhay sapurd-e-Khuda bhi na kar sakay.naazuk mizaaj log thay hum jaisay aaina,tootay kucch es tarah,k sada bhi na kar sakay.khush bhi na rakh sakay tujhay hum apna chaah main,acchi tarah say tujh ko khafa bhi na kar sakay...
April 8, 2025
11 months, 1 week ago
vo maseeha na bana hum nay bhi khuwahish nahi ki,apni shartoon pay jiey,uss say guzarish nahi ki.hum tou suntay thay k mil jatay hain bichhray howay log,tu jo bicchra tou waqt nay Gardish nahi ki.uss nay ek roz kiya hum say acchanak vo sawal,dharkanain tham si gaen,waqt nay junbish nahi ki
April 4, 2025
11 months, 2 weeks ago
Haqiqat yeh hay k gardish main sitaara chal raha hay,guzaari jaa rahi hay,bus guzaara chal raha hay.main kaafi dair say kucch tay nahi kar paa raha hoon yeh,kashti chal rahi hay yah kinaara chal raha hay..
March 26, 2025
11 months, 3 weeks ago
Taaq raaton ki khair ho Mola,dard logon k ab bhi baaqi hain,teray banday udaas ankhon say,jaanib e arsh taktay rehtay hain,pait bhookay,sir bhi nangay,phir bhi teri raza pay raazi hain,Baab e Rehmat ki khair ho Mola,rehmatin ja baja barasti hain,hum ghareebon ki arziyan lekin,teri "KUN" k liey tarasti hain
March 21, 2025
1 year ago
her lafz k tamam maani main hum bhi thay,kiya dour tha k teri kahani main hum bhi thay.tu aam sa na jaan hamain aaey haseen shakhs,jaisa tu ab hay waisay jawani main hum bhi thay.uth`ti hay ek kasak teri tasveerain dekh kar,taaza main hum nahi,puraani main hum bhi thay..
March 18, 2025
1 year ago
Ajeeb dukh hay hawa k taazyaano main,charagh bujhnay lagay sheher k makanoon main.tamam sheher jisay aankh main liey howay hay.vo shakhs bhi tha kabhi meray meezbanoo main.meray wajood say inkaar karnay walay shakhs.main maangti rahi tujhko aastanoon main
March 15, 2025
1 year ago
laazim nahi her baar tujhay hum hoon moyassar.mumkin hay tu es baar hamain sach main ganwa day.kab tak teri yaadon ki azziyat ko sahoon main?es karb say mujhko koi azaad kara day,jeenay nahi deta yehi ehsaas shab-o-roz,barson ki rafaqat koi lamhoon main bhula day.
March 11, 2025
1 year ago
koi tou naam ho ga yaar anookhay es taaluq ka,ussay main kho nahi sakta,ussay main paa nahi sakta.bhala kaisay bataoun dukh kisi matrook gamlay ka,jisay paani nahi milta,jo paani la nahi sakta
March 8, 2025
1 year ago
Lahoo main her ghari pheli yeh wehshat maar daalay gi,mujhay hasaas honay ki azziyat maar daalay gi..agar khamosh rehta hun Khuda naraz hota hay,agar izhaar karta hun to khalqat maar dalay gi..zara sa mukhtalif honay pay tanha ho giya hun mein,khud apnay sheher main yeh ajnabiyat maar dalay gi
March 3, 2025
1 year ago
waisay socha tha mohabbat nahi karni menay,es liey ki k kabhi pooch hi leta hay koi.Jaanta hoon k tujhe sath tou rakhte hain kai,Poochna tha keh tera dhiyaan bhi rakhta hai koi??
March 1, 2025
1 year ago
As The Crescent Moon Is Sighted And The Holy Month Of Ramadan Begins... May Allah Bless You All With Happiness And Grace Your Home With Warmth And Peace. " Ramadan Kareem " ... From #Pakistan Admin Team
February 27, 2025
1 year ago
Wishing you a day filled with happiness and a year filled with joy thecooldude, Happy Birthday from #Pakistan
February 20, 2025
1 year, 1 month ago
Hamari zindagi say kisi ka chalay jana itna takleef deh nahi hota,jitna us k chalay janay k baad bhi hamaray dil main uski mohabbat ka theher jana azziyat deta hay... Welcome to #Pakistan...
February 16, 2025
1 year, 1 month ago
Dil sharar baar,nafs shola fashaan rehta hay,aik konda sa rag-o-pay main rawaan rehta hay,apni hi aag say jal uth`ta hay apna daaman,itna majboor bhi ehsaas kahan rehta hay,go palat`tay nahi guzray howay lamhay phir bhi,dil pay beeti howi yaadon ka nishaan rehta hay
February 14, 2025
1 year, 1 month ago
Kal raat shab-e-baraat thi,Bat`ti thi zindagi...shab bhar main bus Khuda say tujhay mangta raha..
February 6, 2025
1 year, 1 month ago
Dil mein phir aik kasak si uthi mudatton k baad,ek umar say rukay howay aansoo nikal paray..seenay mein bayqaraar hein murda mohabbatin,mumkin hay yeh charagh kabhi khud hi jal paray...
January 30, 2025
1 year, 1 month ago
mahol munasib ho tou,ooper nahi jaatay,hum taaza ghuttan chhor k chhat per nahi jatay.dekho mujhay,ab meri jagah say na hilana,phir tum mujhay tarteeb say rakh kar nahi jaatay.so tum mujhay hayrat zada aankhon say na dekho,kucch log sambhal jaatay hain,sab mar nahi jaatay
January 27, 2025
1 year, 1 month ago
gulab sard shamoon main,tumhari yaad ki lehrain,meri namnak aankhon k kinaray kaat deti hain.dua k harf,honton say lipat kar bain kartay hain,ussay kehna palat aaey,kahin aisa na ho,dilon main marsiye phutain,hawa nohoon pay aa jaey,dua k lafz mar jain,yeh gham mukamal sog ban jaey,mohabbat rog ban jaey.
January 8, 2025
1 year, 2 months ago
Yeh hijr k sadmay kabhi kam nahi hongay,tum lot k aao gay tou phir hum nahi hongay,chahat k charaghon main yahi baat ajab hay,bujh jain gay lekin kabhi madham nahi hongay
January 3, 2025
1 year, 2 months ago
saal ki pehli kiran k saath jaaga hay dil.phir wohi meri talab ab kay baras mil jaey Tu....
December 22, 2024
1 year, 2 months ago
Bahir December ki dhoop hay aur kamray main,teri yaadon k surmai badal chhaey hain,mujh ko azn-e-rahai day,keh teri yaadon k mabad main,mudat ho gai do zaanoo hun,dhoop ka zaiqa bhool gia hoon
December 19, 2024
1 year, 3 months ago
December ja rahay ho na? Khudara ab nahi aana,meri sochon ki masnad per,jo haakam uski yaadin hein,hay gardish zehar e qaatil si,k jismein gonjti rehti,hama waqt uski baatin hein,unhein bhi saath lay jana,yeh wehshi hijr k mosam,jo meray jiwan per qaabiz hein,December sun rahay ho na? December ab nahi aana
December 17, 2024
1 year, 3 months ago
menay boorhoon ko bhi bacchon ki tarah rotay dekha...aaey KHUDA .. phir na kabhi aisa December aaey.....Welcome to #Pakistan
December 14, 2024
1 year, 3 months ago
" Seen Kar K Reply Na Karnay Walon, Bye Keh Kar Online Rehnay Walon, " I love You " Bol Kar Cheat Karnay Walon Tum Sab Ka Alag Hi Hisaab Hoga - BaBaJee - "
December 14, 2024
1 year, 3 months ago
" Perfect Jora Juton Ka Hi Hota Hai, Baqi Sab Weham Hota Hai. - BaBaJee - "
December 13, 2024
1 year, 3 months ago
" Chhorh Day Tasbeeh Ko Gin Gin Kay Parhna Iqbal <> Us Say Kiya Hisaab Karna Jo BeHisaab Dayta Hai "
December 6, 2024
1 year, 3 months ago
Agar Raasta Khoobsurat Hai Toh Maloom Karo Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khoobsurat Hai Toh Rastay Ki Parwah Na Karo.
December 6, 2024
1 year, 3 months ago
Selfieyaan Laynay Wali Larkiyon Ki Agli Nasal Ka Moun Chonch Jaisa Aur Aik Haath Bohat Lamba Ho Ga! - BaBaJee -
November 28, 2024
1 year, 3 months ago
hansnay ka mashwara bhi tera khoob hay magar,mujh mein tha khush mizaaj koi,vo nahi raha.chehray ko dekh kar jo samajhta tha mera dukh,aisa bhi koi shaksh mera hum nasheen raha.kucch es liey bhi main yahan ukta giya hoon dost,basti main hum mizaaj koi mil nahi raha..
November 24, 2024
1 year, 3 months ago
kathan hay zindagi kitni,safar dushwar kitna hay,kabhi paaon nahi chaltay,kabhi rasta nahi milta,hamara saath day paey,koi aisa nahi milta,mujhay phir bhi meray MAALIK koi shikwa nahi tujh say,main jaan per khel sakta hun main her dukh jhail sakta hun,agar tu aj hi kar day mohabbat hamsafar meri.....
November 20, 2024
1 year, 4 months ago
meri bazm-e-dil tou ujar chuki,mera farsh-e-jaan tou simat chuka,sabhi ja chukay meray humnashin,magar aik shakhs gia nahi,ghum-e-zindagi teri rah main, shab-e-aarzoo teri chah main,jo ujar gia vo basa nahi,jo bichhar gia vo mila nahi
October 4, 2024
1 year, 5 months ago
hum log teri "Kun" ka bharam rakhnay aaey hain,Parwardigaar!! Yaar,hamara khiyal kar.Parwardigaar aaway ka aawa bigar giya,yeh kis ko teray deen k thaikay diey gaey.Parwardigar!! zulm pay parcham nigoon kiya,her saanihay pay sirf taranay likhay gaey..
October 1, 2024
1 year, 5 months ago
main jaan chuka husan ki manzil hay tijaarat,na tumsay shikayat na raqibon say gilla hay..fiqat hussan hi lay duba YUSIF ko wagarna,mandi main kahin aa k payghambar bhi bika hay?? kalaam e Majzoob walihana,hamaysha dohraaey ga zamana..kisi haseen ka nahi fasana,yeh aik aashiq ki dastsaan hay...
October 1, 2024
1 year, 5 months ago
Welcome To Pakistan
September 27, 2024
1 year, 5 months ago
Black_Coffee's mother passed away Inna lillahi wa inna ilayhi raji'un, In this time of loss, may Allah be your source of strength. Our thoughts and prayers are with you and your family.
September 24, 2024
1 year, 5 months ago
Hamari aankhain udaas ghazlon k qaafiey hain,hamara chehra puranay waqton ki shaairi hay.Tumhara "Hansna" hamaari nazmon ki ibtada thi,hamara "Rona" tumhari aankhon ki shaairi hay
September 22, 2024
1 year, 6 months ago
Kaabay main dil kay,khuwahishoon kay but taraash kar,Dehleez pay khara hoon gunah-o-sawaab ki.....'welcome to #pakistan. enjoy your stay..
August 22, 2024
1 year, 6 months ago
ussay itna bata dena kisi ki zindagi tum thay,ussay yeh bhi bata dena bilaakhir mar giya koi..ussay itna bata dena kisi ko maan tha tum per,bata dena ilzaam dhar giya koi,ussay itna bata dena k jab teri wafa dekhi,ussay yeh bhi bata dena wafa say dar giya koi
August 16, 2024
1 year, 7 months ago
Hum ho chukay hain hijr ki lazzat say aashna,ab aap hum say visal ki baatin na keejeay.aashiq mizaaj log hain,so dil k hain ghulaam,hum sir phiroon say aqal ki baatin na keejeay..
August 14, 2024
1 year, 7 months ago
A place where I was born, where I was raised, where I live now! I love my country. Happy Independence Day to you all, and Long Live #Pakistan.
August 13, 2024
1 year, 7 months ago
Menay Zindaan main seekha tha,aseeron say ek "isam",jisko diwaar pay phoonkain tou "hawa" aati hay.usko parday ka "taradud" nahi karna parta,aisa chehra hay k dekhin tou haya aati hay..theek hay! saath raho meray,magar aik sawal,tumko "Wehshat" say hifaazat ki dua aati hay??
August 9, 2024
1 year, 7 months ago
Pakistan javelin ace Arshad Nadeem wins gold at Paris Olympics 2024, Congratulations Arshad
August 7, 2024
1 year, 7 months ago
chhotay chhotay say mufadat liey phirtay hain,darbadar khud ko jo din raat liey phirtay hain.apni majrooh annaoun ko dilaasay day kar,haath main kaasa-e-khayraat liey phirtay hain.mukhtalif apni kahani hay zamanay bhar say,munfarid hum gham-e-halaat liey phirtay hain..
August 4, 2024
1 year, 7 months ago
dil ki haalat sambhal gai hay ab,yaad aa k nikal gai hay ab.kal tu shamil tha meri kismat main,meri kismat badal gai hay ab.vo mera haal tum say poochay ga,ussay kehna sambhal gai hay ab,teri yaadin thi barf ki maanind,barf poori pighal gai hay ab
August 3, 2024
1 year, 7 months ago
" Dosti Karna Itna Aasaan Hai Jaisay Mitti Par Mitti Say Mitti Likhna, Lekin Dosti Nibhana Utna Hi Mushkil Hai Jaisay Pani Par Pani Say Pani Likhna "
August 2, 2024
1 year, 7 months ago
Us Ko Dost Mat Banao Jo Kise Mehfil Main Apko Sharminda Kare Khowa Wo Mazak He Q Na Kar Raha Ho. Hazrat Ali (R,A) | Welcome To #Pakistan
August 1, 2024
1 year, 7 months ago
BuGs_BuNNy baby ko KOi tung na kere.
July 31, 2024
1 year, 7 months ago
Haan yeh sach hay,k tarastay thay takallum ko kabhi,ab yeh koshish hay,tera zikar na ho baat na ho,Kaash dhoonday tu mujhay ghoom k basti basti,Aur dua meri,kabhi tujh say mulaqat na ho,pichlay baras tha khof tujhay kho na doon kahin,Ab k baras dua hay tera samna na ho..
July 29, 2024
1 year, 7 months ago
hamaray maathay pay.... yeh zard rang say likha howa hay..keh.. "Hamaray jaison ki zard aankhain jidher uthaay geen,Azaab ho ga......
July 29, 2024
1 year, 7 months ago
Welcome to #pakistan
July 20, 2024
1 year, 8 months ago
" Ghussa Karna Aisay Hai Jaisay, Kisi Ki Ghalati Ki Saza Khud Ko Dayna!
July 19, 2024
1 year, 8 months ago
shaam hotay hi parindon ki tarah lot aatay,muntazir ghar main agar koi hamara hota..chaand suraj k talabgaar na thay hargiz hum,roshni k liey bus ek sitara hota..Saari duniya say taa'lluq ki tamana thi kisay? hum nay chaaha tha bas ek shakhs hamara hota
July 17, 2024
1 year, 8 months ago
Hussain tera,Hussain mera,Hussain kis ka,Hussain us ka,Hussain sab ka,Hussain Rab ka,vo khushkion ka,samundaron ka,vo sofion ka,qalandaron ka,Hussain agar na shaheed hota,tou aj ghar ghar yazeed hota,Nabi ki sunnat ayyaan na hoti,Khuda k ghar main azaan na hoti..
July 15, 2024
1 year, 8 months ago
Hussain tera,Hussain mera,Hussain kis ka,Hussain uska,Hussain sab ka,Hussain Rab ka...
July 12, 2024
1 year, 8 months ago
zikar-e-Hussain aaya tou aankhin chhilak gaeen,paani ap ko ab bhi piyaar hay kitna Hussain say.. " New Islamic Hijri Year 1446
July 7, 2024
1 year, 8 months ago
Jab chaand nikalta hay moharram ka sar e shaam,ek hook si uth`ti hay Qalb-e-zameen say.. " New Islamic Hijri Year 1446
July 4, 2024
1 year, 8 months ago
Eshq se pehlay bhi gham k daaeray kucch kam na thay,meray ghar se teray dar tak faslay kucch kam na thay,ku ba ku sehra ba sehra,hum phire tere liey,tujhse milnay k liey yeh marhalay kucch kam na thay,jab dar e maqtal pay pohanchay to wohan dekha hajoom,mujhse pehlay bhi wohan per diljalay kuch kam na thay
June 30, 2024
1 year, 8 months ago
Main barishon main jo yad aaoun,tou soch lena,K bhegay mosam nay mera aanchal bhago dia hay,Tha dard-e-hijran bara hi qatil,Vo meray dil main samo dia hay,Tumharay vaadon ka tha mahal jo,Thi uski bunyad panion per,Yahi sabab hay k tez lehron nay es ko aakhir Dabo dia hay [Set by Aanchal on Sat Aug 3 1996]
June 29, 2024
1 year, 8 months ago
Kisi Ka Ayeb Talaash Karnay Walay Ki Misaal Us Makhi Kay Jaisee Hai Jo Sara Khoobsurat Jism Chor Kar Sirf Zakham Par Bethti Hai. " Hazrat Ali (A.S) "
June 27, 2024
1 year, 8 months ago
surkh eenton pay naachti baarish,aur yaadin hain roo baroo dekho..aisay mosam main bheegtay rehna..aik pagal ki aarzoo dekho... welcome to #Pakistan.. enjoy your stay here..
June 25, 2024
1 year, 8 months ago
" Dosti Karna Itna Aasaan Hai Jaisay Mitti Par Mitti Say Mitti Likhna, Lekin Dosti Nibhana Utna Hi Mushkil Hai Jaisay Pani Par Pani Say Pani Likhna! "
June 21, 2024
1 year, 9 months ago
Us Ko Dost Mat Banao Jo Kise Mehfil Main Apko Sharminda Kare, Khowa Wo Mazak He Q Na Kar Raha Ho !!! Welcome To #Pakistan
June 18, 2024
1 year, 9 months ago
As we celebrate the obedience of Prophet Ibrahim (AS), may we too find the strength to follow our convictions. Wishing you a blessed Eid al-Adha Welcome To #Pakistan
June 14, 2024
1 year, 9 months ago
Hajj is a journey to Allah for His forgiveness that ends with giving ours to others. Hajj Mubarak, everyone!! Welcome To #Pakistan
June 13, 2024
1 year, 9 months ago
" Agar Raasta Khoobsurat Hai Toh Maloom Karo Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khoobsurat Hai Toh Rastay Ki Parwah Na Karo... " !!! Welcome To #Pakistan
June 12, 2024
1 year, 9 months ago
Hamesha Aaisay Shakhs Ko Chuna Karo Jo Aapko Izat Day, Kyoun Kay Izat Muhabbat Se Kahin Ziada Khas Hoti Hai..! Welcome To #pakistan
June 11, 2024
1 year, 9 months ago
Jab Kisi Ko Kisi Se Rishta Khatam Karna Ho to, Sab Se Pehlay Wo Apni Zubaan Ki Mithas Khatam Karta hai. Welcome To #pakistan
June 10, 2024
1 year, 9 months ago
Welcome To #pakistan
June 10, 2024
1 year, 9 months ago
Dost Kay Saath Us Namak ki Tarah Raho Jo Khaanay Me Dikhai Nahin Daita, Laykin Agar Na Ho To Us Ki Kami Bohot Mehsoos Hoti Hai. Welcome to #Pakistan
June 9, 2024
1 year, 9 months ago
Welcome to #Pakistan
June 9, 2024
1 year, 9 months ago
T20 World Cup 2024: Pakistan set to face India in make-or-break showdown today. Welcome to #Pakistan
June 8, 2024
1 year, 9 months ago
Tamam Umat-e-Muslima ko zil hajj ka chand mubarak ho. Dua hay sub ke liye khair o barkat ka baiz banay Ameen. Welcome to #Pakistan
June 7, 2024
1 year, 9 months ago
Hum Laboon say Khai na paye unsay haal-e-dil kabhi, or wo samjhay nahe yeh khamooshe kia cheez hay.
June 6, 2024
1 year, 9 months ago
The only limit to our realization of tomorrow will be our doubts of today. Welcome to #Pakistan
June 6, 2024
1 year, 9 months ago
Chhorh Day Tasbeeh Ko Gin Gin Kay Parhna Iqbal <> Us Say Kiya Hisaab Karna Jo BeHisaab Dayta Hai
June 4, 2024
1 year, 9 months ago
Agar Tum Us Waqt Muskura Saktay Ho Jab Tum Poori Tarah Toot Chukay Ho, To Yaqeen Jaano Duniya Main Tumhain Kabhe Koi Nahin Tor Sakta. Welcome To #Pakistan
June 4, 2024
1 year, 9 months ago
#Pakistan Zindabad,
June 3, 2024
1 year, 9 months ago
#Pakistan Zindabad
June 2, 2024
1 year, 9 months ago
zakham her baar kiya us nay hi gehra mera,jis k maathay pay kunda the "maseeha mera'',hum say taqseem na ho paai koi aik bhi shay,hum say ho paya nahi eshq main tera mera,meray mathay pay hay do tarfa siyahi ki lakir,kitna milta hay meray bakht say chehera mera..
May 31, 2024
1 year, 9 months ago
" Agar Dosti Tumhari Kamzori Hai Toh Tum Dunya Kay Sab Say Taqatwar Insaan Ho. " Hazrat Ali (A.S) "
May 29, 2024
1 year, 9 months ago
" Kisi Insaan Ki Khoobi Ko Pehchano Aur Ussay Biyaan Karo, Lekin Agar Kisi Ki Khami Mil Jaye Toh Yahan Tumhari Khoobi Ka Imtehaan Hai. " Hazrat Ali (A.S) " "
May 28, 2024
1 year, 9 months ago
" Achaa Dost Chahay Kitna Bura Ban Jaye Kabhi Us Say Dosti Mat Toro Kiyon Kay Pani Chahay Kitna Bhi Ganda Ho Jaye Aag Bujhanay Kay Kaam Aata Hai. " Hazrat Ali (A.S) "
May 27, 2024
1 year, 9 months ago
Life is always better when youre laughing. So find a reason to smile and giggle each day. Welcome to #Pakistan
May 26, 2024
1 year, 9 months ago
<bongi> Jutt : haan ji Naha b liya karo kabhi .
May 24, 2024
1 year, 9 months ago
A wish for you on your birthday, whatever you ask may you receive, whatever you seek may you find, whatever you wish may it be fulfilled on your birthday and always. Happy birthday , Happy BirthDay pukhtana
May 21, 2024
1 year, 10 months ago
" Tum Apnay Ikhlaaq Aur Kirdaar Ko Itna Buland Karo Kay Doosray Mazahib Kay Log Daikh Kar Kahein Agar Ummat Aisee Hai Toh Nabi Kaisay Hon Gaye. "
May 20, 2024
1 year, 10 months ago
" Agar Raasta Khoobsurat Hai Toh Maloom Karo Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khoobsurat Hai Toh Rastay Ki Parwah Na Karo. "
May 17, 2024
1 year, 10 months ago
Pray, Before Your Prayer Is Held
April 13, 2024
1 year, 11 months ago
tum nay kaha tha,akhir kiun itna likhtay hain?dekh k ap ko her dam likhtay,meri julti bujhti ankhen thak jati hain,bayshak likh tou nahi sakti main,lekin ap k dilse lag kar,baatin karna janti hun main,lekin ab tum aa kar dekho,likhnay wala jag raha hay,raat ka poora aik baja hay,aik bhi harf nahi likha hay
April 11, 2024
1 year, 11 months ago
koi tou hota jo EID k din,yeh pooch leta,yeh uljhay bikhray se baal kiun hain,siyah sogi Libaas pehnay yeh kis k gham main paray howay ho?yeh rog kesa,yeh sog kesa?mein us k shaanay pay sir tika kar ussay batata,main zindagi say nibah kartay,kisi jagah say bhatak giya hun,mein thak giya hoon....
April 9, 2024
1 year, 11 months ago
Welcome to #Pakistan - Happy Eid-ul-Fitr - May you blessed with happy and joy! - Enjoy
April 9, 2024
1 year, 11 months ago
wohi aik pal teri deed ka,jo milay tou ashk damak uthain,jo bujhay hain daagh chamak uthain,sar-e-loh-e-shaam-e-firaq phir gham-e-eshq moj-e-naveed ho,aay sitaara-e-shab-e-zindagi,edhar aa keh jashan ho motbar,nazar aa keh dhang say eid ho
April 4, 2024
1 year, 11 months ago
Taaq raaton ki khair ho Mola,dard logon k ab bhi baaqi hain,teray banday udaas aankhon say,jaanib-e-arsh taktay rehtay hain,baab-e-rehmat ki khair ho Mola,rehmatin ja baja barasti hain,hum gharibon ki arzian lekin,teray "KUN" k liey tarasti hain..
April 3, 2024
1 year, 11 months ago
Honton pay saahilon ki tarah tishnagi rahi,main chup howa tou meri ana cheekhti rahi..ek naam kia likha tera saahil ki rait per,phir umar bhar hawa say meri dushmani rahi,sarkon pay sard raat rahi meri hamsafar,aankhon main meray saath thakan jaagti rahi
March 30, 2024
1 year, 11 months ago
hamaari neend hay poori na khawab pooray hain,adhooray log hain lekin azaab pooray hain..Tumharay baad bhi hamain yeh kabhi laga hi nahi,k hum jahan hain wohan dastayaab pooray hain...
March 27, 2024
1 year, 11 months ago
Hum nay dekhay hain khawab sholon k....neend aankhon main jal gai ho gi.....ek jahanam hay mera seena bhi,,,aarzoo kab ki "GAL" gai ho gi..Sun kay logon kay zehr say fiqray....dekh kar apnay ghar ki barbadi....main bhi jab muskura hi leta hoon.....tum to kitna badal gayee ho gi ...
March 23, 2024
1 year, 11 months ago
Hamaray pass rehtay tou humko jenay ka guman rehta,hamari rooh main umeed ka roshan nishan rehta,tuhjhay bhi sheher ki es bheer main aay dost khona tha,hamin tou saath mil kar zindagi ka bojh dhona tha, tumhi tou meray jaisay thay,Tumhain Tou Mera Hona Tha
March 19, 2024
2 years ago
kheenchti hay mujhay duniya bhi..teri khuwahish bhi....lamha lamha mujhe do neem kiya jata hay.....khud mera naam bhi aata nahi hissay mein meray...jab mujhe eshq pay taqseem kiya jata hay....welcoem to #pakistan :)
March 16, 2024
2 years ago
Bayzameen logo ko,bayqarar aankhon ko,badnaseeb qadmoon ko jis taraf bhi lay jain,raaston ki marzi hay.baynishan jazeeron per,badguman shehron main,bayzaban mussafir ko,jis taraf bhi bhatka dain,saath chalnay waalon ki raakh bhi ura daalin,yah musaftain saari khaak main mila daalin,raaston ki marzi hay
March 13, 2024
2 years ago
Dard k phool bhi khiltay hain bikhar jaatay hain,zakham kaisay bhi hoon,kucch roz main bhar jaaatay hain.chhat ki `karion` say utartay hain meray khawab magar,meri diwaaron say takra k bikhar jatay hain.es dareechay main bhi ab koi nahi aur hum bhi,sir jhukaey howay chup chap guzar jatay hain...
March 10, 2024
2 years ago
As The Crescent Moon Is Sighted And The Holy Month Of Ramadan Begins... May Allah Bless You With Happiness And Grace Your Home With Warmth And Peace. " Ramadan Kareem " From #Pakistan Admin Team
March 9, 2024
2 years ago
Aurat hoon magar soorat-e-kohsaar khari hoon,ek sach k tahafuz k liey sab say lari hun.vo mujh say sitaaron ka pata pooch raha hay,pathar ki tarah jiski angoothi main jari hoon.alfaaz na awaaz,nah humraz na dum saaz,yeh kesay duraahay pay mein khamosh khari hoon. WOMEN`S DAY
March 8, 2024
2 years ago
Welcome to #Pakistan - Happy Woman's day!
March 7, 2024
2 years ago
her yaad apna hissa alag mangnay lagi... dil main hain jaidaad k jhagray paray howay .... Majzoob
March 2, 2024
2 years ago
Sittam ko hum qaram samjhay, jaffa ko hum wafa samjhay.. aur usper bhe na "WO" samjhay, tau us bu'tt say khuda samjhay..!!
February 29, 2024
2 years ago
Wishing an amazing birthday to an amazing brother, a dear friend. Have a fantastic year ahead thecooldude from #Pakistan team
February 28, 2024
2 years ago
main jo shikwa bhi karoon,Kufar k fatway mujh per...tu sitam kar k kahay,dil main chhupa lay mujhko..Ab nah tootay gay kabhi zabt k bandhan MAULA,jis ka dil chaahay wohi aa k sata lay mujhko...
February 28, 2024
2 years ago
<@Sim> Kalu lub ya infinity
February 28, 2024
2 years ago
I'm beyond grateful to call you my brother, and most importantly, my friend. Happy birthday thecooldude, from me and entire #Pakistan team.
February 27, 2024
2 years ago
" Meray Paas Waqt Nehi Hai Un Logon Say Nafrat Karnay Ka Jo Mujh Say Nafrat Kartay Hein Kiyon Kay Main Masroof Rehta Hoon Un Logon Mein Jo Mujh Say Muhabbat Kartay Hein. - Sheikh Saadi R.A - "
February 26, 2024
2 years ago
Kal raat shab-e-baraat thi bat`ti thi zindagi...Shab bhar main bus KHUDA say tujhay mangta raha.....
February 24, 2024
2 years ago
hum hi kiun kaar-e-azziayt say guzaray jaein,eshq mazhab hay tou imaan say saaray jaein.hum tou hain KAHAF ki diwaron say lipti roohain,younhi so kar na kahin umar guzaray jaein.es kahani main jo bach jaein tou phir bhi dar hay,hum kisi aur kahani main na maaray jaein
February 23, 2024
2 years ago
Kisi Insaan Ki Khoobi Ko Pehchano Aur Ussay Biyaan Karo, Lekin Agar Kisi Ki Khami Mil Jaye Toh Yahan Tumhari Khoobi Ka Imtehaan Hai. " Hazrat Ali (A.S) "
February 23, 2024
2 years ago
Aye Watan Pyaray Watan, Pak Watan, Pak Watan .. Aye Meray Pyaray Watan
February 18, 2024
2 years, 1 month ago
Rog aisay bhi gham-e-yaar say lag jatay hain,dar say uth`tay hain tou diwaar say lag jatay hain.bay basi bhi qurbat ka sabab banti hay,Ro na paaein tou galay yaar k lag jatay hain,daagh daaman k hoon,dil k hoon yah chehray k,kucch nishaan umar ki raftaar say lag jatay hain
February 14, 2024
2 years, 1 month ago
Tamana aur phir ous ka mita dena,mohabbat aur takmeel e mohabbat hay,zamanay ho gaey lekin,vo ab bhi yaad aata hay,tou main apni mohabbat k adhooray pan say darta hoon-------welcome to #Pakistan
February 11, 2024
2 years, 1 month ago
teray hissay ki mohabbat tou tujhay milni thi,meray zimmay tha fiqat uska waseela hona... Welcome to #Pakistan.. enjoy your stay
February 11, 2024
2 years, 1 month ago
February 7, 2024
2 years, 1 month ago
azaad ki ek aan hay,mehkoom ka ek saal.kis darja garaan seer hain,mehkoom k oqaat.mehkoom ko peeron ki karamaat ka soda,hay banda-e-azaad khud ek zinda karamaat. azaad ka andaysha haqiqat say munnawar,mehkoom ka anydaysha giraftaar kharafaat.. 8th Feb election day....
February 5, 2024
2 years, 1 month ago
Abhi vo dard baqi hay,agarchay waqt marham hay,magar kucch waqt lagta hay,kisi ko bhool janay main,dobara dil basanay main,abhi kuch waqt lagna hay,main kaisay nai ulfat main,apni zaat ko gum kar doon,k meray jism-o-wajdaan main,abhi vo fard baqi hay,abhi vo dard baaqi hay..
January 28, 2024
2 years, 1 month ago
Amman kehti thi,zaroori tou nahi k zindagi k sabhi khanay bhar jain,koi khaali bhi rehna chahiye,agar saaray bhar gaey tou kahin duniya main hi jannat ka guman na honay lagay,tumhari 'kami' mujhe shayad esi liey di gai hay kiun k tumhari rafaqat main mujhe jannat ka gumaan hona tha....
January 26, 2024
2 years, 1 month ago
Maula udass rakh,magar itni bay basi na day..koi kahay Khuda hoon main,aur mujhay maan`na paray... Welcome to #Pakistan. enjoy your stay..
January 20, 2024
2 years, 2 months ago
Dear BuGs_BuNNy On This Day Dance Like No 1's Watching U, Sing Like No 1's Listening U, Love Like You'll Never Get Hurt, And Live Like It's Heaven On Earth " Happy Birthday To You " May All Your Dreams, All Your Imaginations Come True With The Blink Of Your Eyes, Hope Your Birthday Is Awesome As You Are!'
January 18, 2024
2 years, 2 months ago
es zindagi main hum sab kay pass kam az kam aik kahani aisi zaroor hoti hay,jo hum kabhi kisi ko nahi suna paain gay.... Welcome to #Pakistan.. Enjoy your stay here...
January 7, 2024
2 years, 2 months ago
Tujh say bichhray hain,magar eshq kahan khatam howa..yeh vo jeeti howi baazi hay jo haari na gai,tu hay vo khawab jo aankhon say utaara na giya,tu vo Khuwahish hay jo hum say kabhi maari na gai...
January 5, 2024
2 years, 2 months ago
Sun kay logon k Zehar bharay Fiqray,dekh kar apnay ghar ki Barbaadi.Main bhi jab Muskura hi leta hoon,Tum tou kitna badal gai ho gi..
January 3, 2024
2 years, 2 months ago
hum ko rehna tha kisi aur hi duniya main magar,hum kisi aur hi duniya main utaaray howay hain.kucch nai baat hay es main tou mubbarak warna,hum nay kitnay hi naey saal guzaaray howay hain...
January 1, 2024
2 years, 2 months ago
Pichlay baras tha khof tujhay kho na doon kahin..ab k baras dua hay tera samna na ho...... 2024..
December 31, 2023
2 years, 2 months ago
¡!¡!¡!¡!¡ -H--A--P--P--Y-----N--E--W----Y--E--A--R-- 2024 ¡!¡!¡!
December 28, 2023
2 years, 2 months ago
manzalin bhi kho gain,raastay bhi kho gaey,jo aashna say log thay,vo ajnabi say ho gaey,na chand tha na chandni,aeeb thi vo zindagi,charagh thay k bujh gaey,naseeb thay k so gaey,yeh poochtay hain rastay,rukay ho kis k waastay,chalo tum bhi ab chalo,vo meherban bhi kho gaey..
December 28, 2023
2 years, 2 months ago
Agar Koi Tum Say Naraaz Hai Aur Ussay Is Baat Ka Gharoor Hai Kay Tum Ussay Mana Lo Gaye Toh Uskay Gharoor Ko Tootnay Mat Dayna. " Hazrat Ali (A.S) "
December 26, 2023
2 years, 2 months ago
Achaa Dost Chahay Kitna Bura Ban Jaye Kabhi Us Say Dosti Mat Toro Kiyon Kay Pani Chahay Kitna Bhi Ganda Ho Jaye Aag Bujhanay Kay Kaam Aata Hai. " Hazrat Ali (A.S) "
December 22, 2023
2 years, 2 months ago
میرے ساتھ چلنے کی شرط پر کئی لوگ چل تو پڑے مگر کوئی راستے میں بدل گیا کوئی راستہ ہی بدل گیا
December 16, 2023
2 years, 3 months ago
Dilko reh reh k yeh andeshe daranay lag jayen,waapsi mein ussay mumkin hay zamanay lag jayen.so nahi paayen to sonay ki duaayen maangen,neend aane lagay tou khud ko jaganay lag jayen,her December essi wehshat mein guzara k kahin,phir se aankhon mein tere khawab na aanay lag jayen
December 13, 2023
2 years, 3 months ago
Bahir December ki dhoop hay aur kamray main,teri yaadon k surmai badal chhaey hain,mujh ko azn-e-rahai day,keh teri yaadon k mabad main,mudat ho gai do zaanoo hun,dhoop ka zaiqa bhool gia hoon...
December 9, 2023
2 years, 3 months ago
Bas ek meri baat nahi thi,sab ka dard December tha.Barf ke shehar mein rehne wala ek ek fard december tha,Pichhle saal ke aakhir mein bhi hairat mein hum teeno the,ek main tha,ek tanhaai thi,ek bedard December tha,Apni apni himmat thi,aur apni apni kismat thi,Haath kisi ke neele the,peela zard December tha
December 6, 2023
2 years, 3 months ago
Dhundali yaadon ki sard raaton main,beeti baaton ko sochtay rehna,chaey k mug ko lay k haathon main,chaand taaron ko khojtay rehna,apni aankon se apnay khawabon ko,lambi raaton main nochtay rehna,SHOQ dilchasp hain December k,ROG dilchasp hain December kay
November 30, 2023
2 years, 3 months ago
Main phir plat kar teri tamana na Kar sakoon,kucch es tarah say mujhko judai bhi day kabhi.larzaan hain kab say aankh main ashkon k qaaflay,en qaidion ko 'azn-e-rihaai' bhi day kabhi..
November 25, 2023
2 years, 3 months ago
jis jagah dil tha meray seenay main,wehshatain ab muqeem ho gai hain.teray jaanay say aur kucch na sahi,meri shaamin yateem ho gai hain..
November 2, 2023
2 years, 4 months ago
mat daal meri neend k kashkol main sapnay,Ab mujh say teray bojh uthaey nahi jaatay.hum log mizaaron k charaghon ki tarah hain,roshan tou kiey jaatay hain,bujhaey nahi jaatay..
October 29, 2023
2 years, 4 months ago
Baat wafaoon ki hoti tow kabhi na haartay, Baat nasib ki thi kuch kar na sakay.
October 26, 2023
2 years, 4 months ago
ajnabi si raahon main,door tak nigahoon main,bayrukhi ka mosam hay,aaj phir nigahoon ko beetay pal ki piyas hay,phir raha hoon dar badar,kisi mojzay ki aas hay,khamoshi ka pehra hay,zakham dil ka gehra hay,kisi bohat hi apnay ki,aaj phir talash hay,aisay lagta hay jaisay,October phir udaas hay..
October 24, 2023
2 years, 4 months ago
ab yeh bhi nahi yaad k kiya naam tha uska? jis shakhs ko maanga tha munajaat ki maanind.kis darja muqadas hay teray qurb ki khuwahish,masoom say bachay k khiyalaat ki maanind.us shakhs say milna mera mumkin hi nahi hay,main piyas ka sehra hoon vo barsaat ki maanind..
October 21, 2023
2 years, 5 months ago
Diwaron say mil kar rona accha lagta hay,hum bhi pagal ho jain gay aisa lagta hay..aankhon ko bhi lay dooba yeh dil ka pagal pan,aatay jaatay jo milta hay tum sa lagta hay..duniya bhar ki yaadin humsay milnay aati hain, sham dhalay es soonay ghar main mela lagta hay...
October 18, 2023
2 years, 5 months ago
jis waqt teray haath nay chhora tha mera haath,vo waqt meri aankh k halqoon main para hay.....Welcome to #Pakistan.Enjoy your stay
October 8, 2023
2 years, 5 months ago
Tumhara zikar honton per Tilaawat say zara kam hay,Mohabbat say ziada hay,ibaadat say zara kam hay.Meri diwaar per kitnay calender ho gaey Boorhay,teray aanay ka waada bhi Qiamat say zara kam hay..
October 4, 2023
2 years, 5 months ago
Hamaray hissay main bakht dhalnay k sab sitaaray urooj per hain.koi wazeefa,koi bhi aayat,koi dilaasa yah dam nahi hay??yeh umar jaisay,k tootay joton main,rayt pathar si chubh rahi hay,k aur kitna ghaseetna hay? mazeed payroon main dam nahi hay...
October 1, 2023
2 years, 5 months ago
itna gehra sanata hay,jaisay koi bol raha hay,aaey inkaar k lehjay walay,menay tujhsay kiya manga hay?? Baaham mout ka waada chhoro,kon kisi k saath jiya hay,Saaray jag ki khair ho Ya Rab,kitnay zor say dil dharka hay,Dardon nay tou zinda rakha,Bay dardon nay maar diya hay..
September 28, 2023
2 years, 5 months ago
Sitaaray gar bata detay,safar kitna kathhan ho ga,piyaalay shahed k peetay,talkh ayaam say pehlay..yeh hum jo likhtay hain,hamari aab beeti hay..k dukh tehreer kab hotay hain,kisi elhaam say pehlay...
September 25, 2023
2 years, 5 months ago
ussay kehna hamain kab farq parta hay!k hum tou shaakh say tootay howay pattay,bohat arsa howa humko,ragain tak mar chuki dilki,koi paoun talay ronday,jala k raakh kar daalay,hawa k haath pay rakh kar kahin bhi phenk day humko,sapurd e khaak kar daalay,hamain ab yaad hi kab hay? k hum bhi aik mausam thay!!
September 21, 2023
2 years, 6 months ago
Main barishon main jo yad aaoun,tou soch lena,K bhegay mosam nay mera aanchal bhago dia hay,Tha dard-e-hijran bara hi qatil,Vo meray dil main samo dia hay,Tumharay vaadon ka tha mahal jo,Thi ous ki bunyad panion per,Yahi sabab hay k tez lehron nay es ko aakhir Dabo dia hay Set by Aanchal on Sat Aug 3 1996
September 19, 2023
2 years, 6 months ago
meri banjar si aankhon say,koi dhoka nahi khao,k tum kab dekh sakti ho meray dil main chhupay ghaao,aay meray kam sakhun saathi,tumhain shayad khabar ho gi,mohabbat main jo behtay hain,vo aansoo khushk hotay hain..
September 13, 2023
2 years, 6 months ago
tera zarf hay tu lout k aaya hi nahi,yeh mera zarf hay phir bhi tujhay taanay nahi deta.mein bhi zakhmoon ki numaish main khara hoon lekin,rooh k zakham koi mujhko dikhanay nahi deta.chahay ek aur mohabbat hi zaroori hay magar,dil teray baad kisi say bhi nibhanay nahi deta
September 9, 2023
2 years, 6 months ago
kaash vo aa jaey mujhe jaan se guzartay dekhay,uski khuwahish thi kabhi mujhko bhi bikhartay dekhay.vo saliqay say howay hum say gurayzaan warna,log tou saaf mohabbat main mukartay dekhay.waqt hota hay her ek zakham ka marham lekin,phir bhi kucch zakham thay aisay k na bhartay dekhay...
September 1, 2023
2 years, 6 months ago
Na janay kon duaon mein yaad rakhta hai, Jab bhi doobnay lagta hun, samandar uchaal deta hai…
August 27, 2023
2 years, 6 months ago
waisay socha tha mohabbat nahi karni menay,es liey ki k kabhi pooch hi leta hay koi.Jaanta hoon k tujhe sath tou rakhte hain kai,Poochna tha ke tera dhyaan bhi rakhta hai koi??
August 24, 2023
2 years, 6 months ago
kathan hay zindagi kitni,safar dushwaar kitna hay,kabhi paaon nahi chaltay,kabhi rasta nahi milta,hamara saath day paey,koi aisa nahi milta,mujhay phir bhi meray MAALIK koi shikwa nahi tujh say,main jan per khel sakta hun,main her dukh jhail sakta hun,agar tu aaj hi kar day mohabbat hamsafar meri
August 18, 2023
2 years, 7 months ago
kitni zarkhez hay nafrat k liey dil ki zameen..waqt lagta hi nahi fasal ki tiyaari main..ek tauluq ko bikhernay say bachanay k liey,meray din raat guzartay hain adakaari main..uskay k kamray say utha laaya hoon yaadin apni,khud para reh giya lekin kisi almaari main..
August 16, 2023
2 years, 7 months ago
shak tou tha humko k mohabbat main khasaaray hoon gay..yaqeen na tha k saaray hi hamaray hoon gay...welcome to #Pakistan. enjoy your stay
August 14, 2023
2 years, 7 months ago
Hum tou mit jain gay aaey ARZ-E-WATAN lekin,Tum ko zinda rehna hay qiyamat ki seher honay tak!!!! welcome to #Pakistan..
August 12, 2023
2 years, 7 months ago
Our aim for tomorrow should be higher than the achievement of TODAY - Welcome to #Pakistan
August 7, 2023
2 years, 7 months ago
Hajoom main tha ,vo khul kar na ro saka ho ga,magar yaqeen hay kay shab bhar na so saka ho ga,vo shakhs jis ko samajhnay main mujh ko umar lagi,bichhar kay mujh say kisi ka na ho saka ho ga..
August 4, 2023
2 years, 7 months ago
Tairee aarzoo main barsoon kabhi chain say na soya,Kabhi bay sabab hansa main,kabhi baysabab main roya,Magar aey nigaar-e-hasti,yeh adaa hay yah sazaa hay,Taira mil kay phir na milna,yeh sitam nahin tou kia hay,Tairee ek adaa ki khaatir,jo talab ki khaak chhaani,Kahin kho gia fasana,kahin lut gaee jawaani
July 30, 2023
2 years, 7 months ago
AA dekh meray ghazi uncha hai aalam tera,aa jati hain Zahra bhi Zainab bhi ziyarat ko,taboot jab uthta hai Shabir ka aey ghazi,taboot k agay bhi chalta hai alam tera, wo kon say sadmay thay Shah toot gaey jis say,ek dard tha Zainab ka aur dusra ghum tera..aa dekh meray ghazi...karbala k shaheedon ko salam.
July 16, 2023
2 years, 8 months ago
Dil say tera khiyal nikaala nahi giya,suraj tou dhal giya hay,ujaala nahi giya.duniya ki bheer bhaar main Janay kahan giya,ek tera gham mila tha sambhaala nahi giya,dil per jami udaasi ko khurcha kucch es tarah,ab tak vo meray haath ka chhaala nahi giya
July 14, 2023
2 years, 8 months ago
Tujhey Khabar Hai Tujhey Sochnay Ki Khatir Hum,Bohat say Kaam Muqaddar Pay Taal Rakhtey Hain,Koi Bhi Faisla Ab Soch Kar Nahi Kartay,Tumharay Naam Ka Sikka Uchaal Rakhtey Hain,Tumharay Baad yeh AAdat Si Ho Gai Apni,Bikhartay Sookhtay Pattay Sambhaal Rakhtay Hain
July 8, 2023
2 years, 8 months ago
karb e gham e shaoor ka darmaan nahi sharab,yeh zehar bay asar hay essay p chukka hun main,mainay ghum e hayat main tujhko bhula dia,husan e wafa shuaar bohat baywafa hun main,eshq aik sach tha,tujh say jo bola nahi kabhi,eshq ab vo jhoot hay bohat bolta hun main.
July 7, 2023
2 years, 8 months ago
Apne Dushman Ko Hazaar (1000) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Per Apne Dost Ko Aik Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay - Hazrat Ali
June 28, 2023
2 years, 8 months ago
koi tou hota jo EID k din,yeh pooch leta,yeh uljhay bikhray se baal kiun hain,siyah sogi Libaas pehnay yeh kis k gham main paray howay ho?yeh rog kesa,yeh sog kesa?mein us k shaanay pay sir tika kar ussay batata,main zindagi say nibah kartay,kisi jagah say bhatak giya hun,mein thak giya hoon
June 25, 2023
2 years, 8 months ago
kisi k haath say chheena giya hoon,tabhi tou es qadar toota howa hoon.tera her kaam poora kar chuka hun,bhala mein ab teray kis kaam ka hun.meri baychaargi ko aisay samjho,mujhay rona hay lekin hans raha hun..
June 22, 2023
2 years, 8 months ago
baam e shohrat pay tou Pooja mujhay logon nay magar,saath aaya na koi Koocha e Ruswaai tak.vo teri Aankh ho yah Sang e Malamat ki chhubhan,kon Pohancha hay meray Zakham ki Gehrai tak...
June 18, 2023
2 years, 9 months ago
barsay gi aasman say kisi din dawaaey marg,rooey zameen say zeest ka azaar jaey ga,aakhir ko hans parain gay kisi aik baat per,rona tamam umar ka baykaar jaey ga..
June 18, 2023
2 years, 9 months ago
barsay gi aasman say kisi din dawaaey marg,rooey zameen say zeest ka azaar jaey gs,aakhir ko hans parain gay kisi aik baat per,rona tamam umar ka baykaar jaey ga..
June 14, 2023
2 years, 9 months ago
aadat akelay pan ki jo pehlay azaab thi,Ab lutf ban gai hay azziyat nahi rahi..... welcome to #Pakistan.Enjoy your stay
May 23, 2023
2 years, 9 months ago
Hum Ba-Sad Naaz Dil Mein Basaye Bhi Gaye,Phir Ganwaye Bhi Gaye Aur Bhulaye Bhi Gaye...Hum Tera Naaz Thay Phir Teri Khushi Ki Khatir,Kar K Bechara Teray Samnay Laaye Bhi Gaye..Hum Say Rootha Bhi Gaya Hum Ko Manaya Bhi Gaya,Phir Sabhi Naqsh Talluq K Mitaye Bhi Gaye
May 20, 2023
2 years, 10 months ago
main tou hayraan hoon wehshat main lagai howi awaaz,tujh talak bhi nahi jaati tou kahan jaati hay.... Welcome to #Pakistan..
May 18, 2023
2 years, 10 months ago
utha raha hay jo fitnay meri zameenon main,vo saanp hum nay hi paala hay aasteenon main.kahin say zehar ka taryaaq dhoondna ho ga,jo phelta hi chala ja raha hay seenon main.qasoor waar samajhta nahi koi khud ko,chhirri howi hay larai munaafqeenon main.